Twitter
Advertisement

Aatankwaad

Ek ke baad ek jab dhamake hue, Kitne tun, kitne mann, Kitne jivan, bas iss pal mein... a poetic tribute by Javed Akhtar.

Latest News
article-main
FacebookTwitterWhatsappLinkedin
Ek ke baad ek jab dhamake hue,
Kitne tun, kitne mann,
Kitne jivan, bas iss pal mein
choor-choor ho gaye,
Jaise sheeshe pe pathar gire,
Ek pal ke liye,
Ek nagar apne hi khoon ke sagar  
mein tha,
Han, magar woh nagar,
Desh ke haath ko thaam ke,
Agle hi pal uth gaya,
Ek awaaz mein, ek andaaz mein,
Uss nagar ne kaha, har nagar ne kaha,
Har sadak ne kaha, har galli ne kaha,
Bacche, boodhe, jawanon ne,
Nar-nariyon,
Har kisi ne kaha,
Desh ke dushmano,
Aman ke dushmano,
Pyaar ke dushmano,
Tum jo aatank ke jis andhere ko,
Failane nikle ho,
Han, woh andhera,
Hamare ujaalon ke aagan mein,
Mit jayega,
Dekho is desh mein,
Pragati, unnati mein, ekta kii,
Jo ek roshini jag uthi hai,
Uski kirano ko kya rok paoge tum,
Humse takrai ho,
Haar jaoge tum,
Hum ubharte hue suraj hain,
Tum ho andhere ke saathi,
Aur andhere kii kismet mein,
Suraj se toh haarna hi likha hai.
 
— Javed Akhtar
Find your daily dose of news & explainers in your WhatsApp. Stay updated, Stay informed-  Follow DNA on WhatsApp.
Advertisement

Live tv

Advertisement
Advertisement